Wednesday, January 5, 2011

The Shayar inside Me!!

Bhaag rahe ho aap... kahan tak bhaag paoge.
Jaan kar bhi anjaan kab tak ban paoge..
Jo dil me hai usse Dil chura rahe ho...
Kar lo jo jee chahe..
Apne aap se jhooth kab tak bol paoge??



Doosre ko dekh kar kya apni zindagi jee rahe ho..
Hath me diya liye kyun ujaale me bhatak rahe ho...
Ye zindagi ek baar mili hai dost...
Isey apne liye jiyo...
Kyun doosre k dil ki guzarish poori kar rahe ho...



Tanha is safar ki Tanhayi piye ja raha hun,
Manzil ki doori ko kalam me jiye ja raha hun,
Uss saahil ka intezaar karne baitha hun jise humse shikwa hai,
Par usey kaise batayein, ki zindagi wo sabr hai,
jiski talaash main kiye ja raha hun.


Tanhayion me bhi mujhe gham tha,
Mehfilo me bhi ek shikwa tha,
Hum apne aap se milne ki koshish karte reh gaye,
Aur jo mil kar chale gaye, unse phir kabhi na mil paane ka gila tha.


Wo shaam kuchh iss tarah dhal gayi,
jaise phoolo se khushboo chali gayi,
hum suraj ke phir nikalne ka intezaar hi karte reh gaye,
Wo raat aisi aayi, jo chandni ko apne sath hi le gayi.


Iss duniya me ek cheez ki ehmiyat kabhi samajhkar dekhna,
Uski khoobsoorti ka deedar apne labhzo me kabhi karke dekhna,
Wo ashk hi kya jo uske husn ko chaar chaand lagayein,
Agar samajhte ho to usey aansu nahi, kabhi moti samajhkar dekhna.


Akela tu hai, apne ko kabhi kamzor mat samajhna,
Duniya bhale hi ek taraf, apni himmat ko tu samajhna,
Jhund me shikaar karna sahas nahi kehlata,
Misaal kutto ki nahi, Sher ka udhharan lekar samajhna.

2 comments:

Pragya Jain said...

Wah wah tarun...kya baat hai yaar...khub likha...kiske bare me soch rahe the???apne alawa of course...;-)

Tazzy RwAkStEr said...

Apne experiences k baare me of course...
Don't worry... aage bahut si shayari's aayengi... ;)